“Zindagi ka tha apna aish magar
Sab ki sab imtehaan mai guzri”
“Bas ke dushwar hai har kaam ka aasaan hona
Aadmi ko bhi mayassar nahi insaan hona”
“Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyun
Royenge hum hazaar baar, koi humein sataye kyun”
” Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle”
“Umr bhar Ghalib yahi bhool karta raha
Dhool chehre par thi aur aina saaf karta raha”
“Ranj se khugar hua insaan toh mit jata hai ranj
Mushkilein mujh par pari itni ke aasan ho gayin”
“Kaaba kis munh se jaoge Ghalib
Sharm tum ko magar nahi aati”
“Hasti ke mat fareb mein aa jaaiyo Asad
Aalam tamaam halqa-e-daam-e-khayaal hai”
“Ye na thi hamari qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yahi intezaar hota”
“Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
Bohat be-aabru ho kar tere kooche se hum nikle”
“Kya ghazab hai ke usay chaand kahe tum, Ghalib
Main jo yeh bhi na kahoon toh bura kya hai”
(Written by Mirza Ghalib)
No responses yet